- Author : Maulana Safiur Rahman Mubarakpuri
- Language : Roman/ Urdu
- Binding : Hardcover
- Pages : 368
Tajalliyat e Nabuwat in Roman Urdu
-50% OffOriginal price was: ₹800.00.₹400.00Current price is: ₹400.00.
Description
Tajalliyat e Nabuwat Urdu Transliteration (Urdu in Roman Script)
Muhammad
(sallallahu Alaihi Wa Sallam) Khandaan, nasho numa aur nabuwat se pehle ke halaat Nasab Nama e mubarak: – Aap sallahu alahi wasallam ka nasab nama e paak ye hai, Muhammad bin Abdullah bin Abdul Muttalib bin Hashim bin Abdu Munaf bin Qusayy bin Kilaab bin Murrah bin Ka’ab bin Luayy bin Ghalib bin Fihar bin Malik bin Nazr bin Kinana bin Khuzaymah bin Mudrika bin Ilyas bin Mudhar bin Nazar bin M’ad bin Adnan.
Adnan bil ittefaaq Hazrat Ismail (Alai his salaam) ki nasl se hai. Lekin donon ke darmiyan kitni pushten hain? Aur unn ke naam kya kya hain? Is baare mein badha ikhtelaaf hai.
Aap (salla Allahu Alaihi Wa Sallam)ki walidah ka naam Amina tha aur un ke walid Wahab bin Manaf bin Zuhra bin Kilab the. Ye wahi Kilaab hai jo walid ki taraf se bhi aap (Sallallahu Alaihi wa Sallam) ke nasab namah mein aate hain,Kaha jata hai ke un ka asl naam Urwa ya Hakeem tha,Lekin wo kutton ke zari ye bakasrat shikaar khela karte the is liye Kilaab ke naam se mashhoor ho gaye. Arabi mei Kilaab kutton ko kehte hain.
Buy Tajalliyat-e-Nabuwat Urdu Transliteration: Urdu in Roman Script
Additional information
Edition | |
---|---|
Language | |
Pages |